ai ham-nafaso! shab hai giran jagte rahna
ai ham-nafaso! shab hai girāñ jāgte rahnā
har lahza hai yaañ ḳhatra-e-jāñ jāgte rahnā
aisā na ho ye raat koī hashr uThā de
uThtā hai sitāroñ se dhuāñ jāgte rahnā
ab husn kī duniyā meñ bhī ārām nahīñ hai
hai shor sar-e-kū-e-butāñ jāgte rahnā
ye sehn-e-gulistāñ nahīñ maqtal hai rafīqo!
har shāḳh hai talvār yahāñ jāgte rahnā
be-dāroñ kī duniyā kabhī luTtī nahīñ 'daurāñ'
ik sham.a liye tum bhī yahāñ jāgte rahnā
ai ham-nafaso! shab hai giran jagte rahna
har lahza hai yan KHatra-e-jaan jagte rahna
aisa na ho ye raat koi hashr uTha de
uThta hai sitaron se dhuan jagte rahna
ab husn ki duniya mein bhi aaram nahin hai
hai shor sar-e-ku-e-butan jagte rahna
ye sehn-e-gulistan nahin maqtal hai rafiqo!
har shaKH hai talwar yahan jagte rahna
be-daron ki duniya kabhi luTti nahin 'dauran'
ek shama liye tum bhi yahan jagte rahna
- Book : Lamhon Ki Aawaz (Pg. 173)
- Author : Owais Ahmad Dauran
- Publication : label litho press Ramna Road Patna-4 (1974)
- Edition : 1974
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.