Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

apni ana se bar-sar-e-paikar main hi tha

Kabir Ajmal

apni ana se bar-sar-e-paikar main hi tha

Kabir Ajmal

MORE BYKabir Ajmal

  apnī anā se bar-sar-e-paikār maiñ thā

  sach bolne dhun thī sar-e-dār maiñ thā

  sāzish rachī ga.ī thī kuchh aisī mire ḳhilāf

  har anjuman meñ bā.is-e-āzār maiñ thā

  sau kartaboñ se zaḳhm lagā.e ga.e mujhe

  shāyad ki apne ahd shahkār maiñ thā

  lamhoñ bāz-gasht meñ sadiyoñ guuñj thī

  aur āgahī mujrim-e-iz.hār maiñ thā

  tahzīb ragoñ se Tapakte lahū meñ tar

  dahlīz meñ paḌā huā aḳhbār maiñ thā

  'ajmal' safar meñ saath rahīñ yuuñ sa.ūbateñ

  jaise ki har sazā sazā-vār maiñ thā

  apni ana se bar-sar-e-paikar main hi tha

  sach bolne ki dhun thi sar-e-dar main hi tha

  sazish rachi gai thi kuchh aisi mere KHilaf

  har anjuman mein bais-e-azar main hi tha

  sau kartabon se zaKHm lagae gae mujhe

  shayad ki apne ahd ka shahkar main hi tha

  lamhon ki baz-gasht mein sadiyon ki gunj thi

  aur aagahi ka mujrim-e-izhaar main hi tha

  tahzib ki ragon se Tapakte lahu mein tar

  dahliz mein paDa hua aKHbar main hi tha

  'ajmal' safar mein sath rahin yun saubaten

  jaise ki har saza ka saza-war main hi tha

  ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

  ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

  મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY

  Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

  GET YOUR PASS
  Speak Now