Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ata-e-gham pe bhi KHush hun meri KHushi kya hai

Anwar Sabri

ata-e-gham pe bhi KHush hun meri KHushi kya hai

Anwar Sabri

atā-e-ġham pe bhī ḳhush huuñ mirī ḳhushī kyā hai

razā talab jo nahīñ hai vo bandagī kyā hai

tirī nigāh naqqāshi-e-hasīñ ke sivā

batā mirā mafhūm-e-zindagī kyā hai

sitam-shi.ār jafā-āshnā vafā-dushman

ye nañg-e-azmat-e-ādam hai aadmī kyā hai

tirā tasavvur-e-rañgīñ agar na ho shāmil

bahār-e-gulshan-e-imkāñ meñ dilkashī kyā hai

zamāna aap kahtā hai jis ko aks-e-jamīl

nazar uThā ke to dekho ye chāndnī kyā hai

tamām umr qafas meñ guzār ham ne

ḳhabar nahīñ ki nasheman zindagī kyā hai

ata-e-gham pe bhi KHush hun meri KHushi kya hai

raza talab jo nahin hai wo bandagi kya hai

teri nigah ki naqqashi-e-hasin ke siwa

tu hi bata mera mafhum-e-zindagi kya hai

sitam-shiar jafa-ashna wafa-dushman

ye nang-e-azmat-e-adam hai aadmi kya hai

tera tasawwur-e-rangin agar na ho shamil

bahaar-e-gulshan-e-imkan mein dilkashi kya hai

zamana aap ka kahta hai jis ko aks-e-jamil

nazar uTha ke to dekho ye chandni kya hai

tamam umr qafas mein guzar di hum ne

KHabar nahin ki nasheman ki zindagi kya hai

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now