bahut nahif hai tarz-e-fughan badal Dalo
bahut nahīf hai tarz-e-fuġhāñ badal Daalo
nizām-e-dahr ko naġhma-girāñ badal Daalo
dil-girafta tanavvo hai zindagī kā usuul
makāñ kā zikr to kyā lā-makāñ badal Daalo
na koī chiiz davāmī na koī shai mahfūz
yaqīñ sañbhāl ke rakkho gumāñ badal Daalo
nayā banāyā hai dastūr-e-āshiqī ham ne
jo tum bhī qā.eda-e-dil-barāñ badal Daalo
agar ye taḳhta-e-gul zahr hai nazar ke liye
to phir mulāzamat-e-gulsitāñ badal Daalo
jo ek pal ke liye ḳhud badal nahīñ sakte
ye kah rahe haiñ ki saarā jahāñ badal Daalo
tumhārā kyā hai musībat hai likhne vāloñ kī
jo de chuke ho vo saare bayāñ badal Daalo
mujhe batāyā hai 'sayyad' ne nusḳha-e-āsāñ
jo tañg ho to zamīñ āsmāñ badal Daalo
bahut nahif hai tarz-e-fughan badal Dalo
nizam-e-dahr ko naghma-giran badal Dalo
dil-girafta tanawwo hai zindagi ka usul
makan ka zikr to kya la-makan badal Dalo
na koi chiz dawami na koi shai mahfuz
yaqin sanbhaal ke rakkho guman badal Dalo
naya banaya hai dastur-e-ashiqi hum ne
jo tum bhi qaeda-e-dil-baran badal Dalo
agar ye taKHta-e-gul zahr hai nazar ke liye
to phir mulazamat-e-gulsitan badal Dalo
jo ek pal ke liye KHud badal nahin sakte
ye kah rahe hain ki sara jahan badal Dalo
tumhaara kya hai musibat hai likhne walon ki
jo de chuke ho wo sare bayan badal Dalo
mujhe bataya hai 'sayyad' ne nusKHa-e-asan
jo tang ho to zamin aasman badal Dalo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.