barson teri talab mein safina rawan raha
barsoñ tirī talab meñ safīna ravāñ rahā
ai mere mehrbān bhañvar tū kahāñ rahā
un se milī nazar to palaT kar na aa sakī
vo rishta-e-nigāh bhī kab darmiyāñ rahā
kab umr-e-ḳhizr ḳhanda-e-gul kā javāb hai
yaañ do ghaḌī meñ umr-e-abad kā samāñ rahā
maiñ bhī tire baġhair na ārām pā sakā
tū bhī mirī talāsh meñ be-ḳhānamāñ rahā
mujh ko gila hai tab-e-muravvat-shi.ār se
sāġhar-ba-dast ho ke bhī tishna vahāñ rahā
ai daur-e-charḳh ab koī tadbīr aur kar
terī sitamgarī pe to maiñ shādmāñ rahā
mujh ko 'jalīl' kaun kahegā shikasta-dil
khāyā thā ek zaḳhm so vo be-nishāñ rahā
barson teri talab mein safina rawan raha
ai mere mehrban bhanwar tu kahan raha
un se mili nazar to palaT kar na aa saki
wo rishta-e-nigah bhi kab darmiyan raha
kab umr-e-KHizr KHanda-e-gul ka jawab hai
yan do ghaDi mein umr-e-abad ka saman raha
main bhi tere baghair na aaram pa saka
tu bhi meri talash mein be-KHanaman raha
mujh ko gila hai tab-e-murawwat-shiar se
saghar-ba-dast ho ke bhi tishna wahan raha
ai daur-e-charKH ab koi tadbir aur kar
teri sitamgari pe to main shadman raha
mujh ko 'jalil' kaun kahega shikasta-dil
khaya tha ek zaKHm so wo be-nishan raha
- Book : Range-e-Gazal (Pg. 187)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.