Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bas ek parda-e-ighmaz tha kafan us ka

Zeb Ghauri

bas ek parda-e-ighmaz tha kafan us ka

Zeb Ghauri

MORE BYZeb Ghauri

    bas ek parda-e-iġhmāz thā kafan us

    lahūluhān paḌā thā barahna tan us

    na ye zamīn huī us ke ḳhuun se gulnār

    na āsmāñ se utārā gayā kafan us

    ram-e-najāt bas ik jumbish-e-havā meñ thā

    ki naqsh-e-āb ko Thahrā diyā badan us

    lahakte sho.aloñ meñ go raakh ho chuke aurāq

    havā chalī to damakne lagā suḳhan us

    ghasīTte hue ḳhud ko phiroge 'zeb' kahāñ

    chalo ki ḳhaak ko de aa.eñ ye badan us

    bas ek parda-e-ighmaz tha kafan us ka

    lahuluhan paDa tha barahna tan us ka

    na ye zamin hui us ke KHun se gulnar

    na aasman se utara gaya kafan us ka

    ram-e-najat bas ek jumbish-e-hawa mein tha

    ki naqsh-e-ab ko Thahra diya badan us ka

    lahakte shoalon mein go rakh ho chuke auraq

    hawa chali to damakne laga suKHan us ka

    ghasiTte hue KHud ko phiroge 'zeb' kahan

    chalo ki KHak ko de aaen ye badan us ka

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    bas ek parda-e-ighmaz tha kafan us ka Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque

    bas ek parda-e-ighmaz tha kafan us ka Nomaan Shauque

    Source :
    • Book : Zard Zarkhez (Pg. 58)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now