Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

be-had gham hain jin mein awwal umr guzar jaane ka gham

Azm Bahzad

be-had gham hain jin mein awwal umr guzar jaane ka gham

Azm Bahzad

MORE BYAzm Bahzad

    be-had ġham haiñ jin meñ avval umr guzar jaane ġham

    har ḳhvāhish dhīre dhīre dil se utar jaane ġham

    har tafsīl meñ jaane vaalā zehn savāl zad par hai

    har tashrīh ke pīchhe hai anjām se Dar jaane ġham

    jaane kab kis par khul jaa.e shahr-e-fanā darvāza

    jaane kab kis ko aa ghere apne mar jaane ġham

    ye jo bhiiḌ hai be-hāloñ dauḌ hai chand nivāloñ

    nān-o-namak bojh liye jaldī se ghar jaane ġham

    dariyā paar utarne vaale ye bhī jaan nahīñ paa.e

    kise kināre par le Duubā paar utar jaane ġham

    'azm' udāsī ye sahrā yuuñ qadmoñ se lipTā hai

    jalne vāloñ ko mil jaa.e jaise Thahar jaane ġham

    be-had gham hain jin mein awwal umr guzar jaane ka gham

    har KHwahish ka dhire dhire dil se utar jaane ka gham

    har tafsil mein jaane wala zehn sawal ki zad par hai

    har tashrih ke pichhe hai anjam se Dar jaane ka gham

    jaane kab kis par khul jae shahr-e-fana ka darwaza

    jaane kab kis ko aa ghere apne mar jaane ka gham

    ye jo bhiD hai be-haalon ki dauD hai chand niwalon ki

    nan-o-namak ka bojh liye jaldi se ghar jaane ka gham

    dariya par utarne wale ye bhi jaan nahin pae

    kise kinare par le Duba par utar jaane ka gham

    'azm' udasi ka ye sahra yun qadmon se lipTa hai

    jalne walon ko mil jae jaise Thahar jaane ka gham

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Behzad Lakhnavi

    Behzad Lakhnavi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now