bolne ka nahin chup rahne ka man chahta hai
bolne kā nahīñ chup rahne ka man chāhtā hai
aise hālāt meñ tū lutf-e-suḳhan chāhtā hai
ek to ruuh bhī kāfūr-sifat hai apnī
aur ab jism bhī be-dāġh kafan chāhtā hai
maiñ vafāoñ ka parastār huuñ lekin mujh se
merā mahbūb zamāne kā chalan chāhtā hai
tū idhar kaise are chāñdnī sūrat vaale
ye vo dhandā hai jo āñkhoñ meñ jalan chāhtā hai
vasl ke baad bhī puurī nahīñ hotī ḳhvāhish
aur kuchh hai jo ye nādīda badan chāhtā hai
suune suune se haiñ lafzoñ ke shivāle 'kāshif'
aisā lagtā hai ki iz.hār badan chāhtā hai
bolne ka nahin chup rahne ka man chahta hai
aise haalat mein tu lutf-e-suKHan chahta hai
ek to ruh bhi kafur-sifat hai apni
aur ab jism bhi be-dagh kafan chahta hai
main wafaon ka parastar hun lekin mujh se
mera mahbub zamane ka chalan chahta hai
tu idhar kaise are chandni surat wale
ye wo dhanda hai jo aankhon mein jalan chahta hai
wasl ke baad bhi puri nahin hoti KHwahish
aur kuchh hai jo ye nadida badan chahta hai
sune sune se hain lafzon ke shiwale 'kashif'
aisa lagta hai ki izhaar badan chahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.