Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chamakte KHwab milte hain mahakte pyar milte hain

Khurshid Ahmad Jami

chamakte KHwab milte hain mahakte pyar milte hain

Khurshid Ahmad Jami

MORE BYKhurshid Ahmad Jami

    chamakte ḳhvāb milte haiñ mahakte pyaar milte haiñ

    tumhāre shahr meñ kitne hasīñ āzār milte haiñ

    chale aate haiñ chupke se ḳhayāloñ ke mah o anjum

    mirī tārīk rātoñ ko bahut ġham-ḳhvār milte haiñ

    dabe lahja meñ ye kah kar nasīm-e-jāñ-fazā guzrī

    chalo un regzāroñ se pare gulzār milte haiñ

    ġhazal ko tajrabāt-e-zindagī dhuup meñ 'jāmī'

    na.e uslūb milte haiñ na.e meyār milte haiñ

    chamakte KHwab milte hain mahakte pyar milte hain

    tumhaare shahr mein kitne hasin aazar milte hain

    chale aate hain chupke se KHayalon ke mah o anjum

    meri tarik raaton ko bahut gham-KHwar milte hain

    dabe lahja mein ye kah kar nasim-e-jaan-faza guzri

    chalo un regzaron se pare gulzar milte hain

    ghazal ko tajrabaat-e-zindagi ki dhup mein 'jami'

    nae uslub milte hain nae meyar milte hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now