Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chehre pe uske ashk ki tahrir ban gai

Saleem Betab

chehre pe uske ashk ki tahrir ban gai

Saleem Betab

MORE BYSaleem Betab

    chehre pe us ke ashk tahrīr ban ga.ī

    vo aañkh mere dard tafsīr ban ga.ī

    maiñ ne to yūñhī raakh meñ pherī thiiñ uñgliyāñ

    dekhā jo ġhaur se tirī tasvīr ban ga.ī

    har samt haiñ kaTī paḌī phūloñ gardaneñ

    ab ke sabā baaġh meñ shamshīr ban ga.ī

    us nazar to kahtī thī parvāz ke liye

    merī soch paañv zanjīr ban ga.ī

    jis samt vo uThī hai udhar muḌ ga.ī hayāt

    us nazar gardish-e-taqdīr ban ga.ī

    chehre pe us ke ashk ki tahrir ban gai

    wo aankh mere dard ki tafsir ban gai

    main ne to yunhi rakh mein pheri thin ungliyan

    dekha jo ghaur se teri taswir ban gai

    har samt hain kaTi paDi phulon ki gardanen

    ab ke saba hi bagh mein shamshir ban gai

    us ki nazar to kahti thi parwaz ke liye

    meri hi soch panw ki zanjir ban gai

    jis samt wo uThi hai udhar muD gai hayat

    us ki nazar hi gardish-e-taqdir ban gai

    Source :
    • Book : Ghazal Calendar-2015 (Pg. 02.07.2015)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now