Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chhoD kar ghar ki faza ranaiyan pachhta gain

Zubair Rizvi

chhoD kar ghar ki faza ranaiyan pachhta gain

Zubair Rizvi

chhoḌ kar ghar fazā ra.anā.iyāñ pachhtā ga.iiñ

rāstoñ dhuul meñ ārā.isheñ kajlā ga.iiñ

kis ne phailā mire āñgan meñ chādar dhuup

mere mahtāboñ saarī sūrateñ kumhlā ga.iiñ

apnā tanhā aks kar maiñ ne kañkar pheñk

sat.h-e-sāhil par ka.ī parchhā.iyāñ lahrā ga.iiñ

muddatoñ ke ba.ad chāhā thā chhat par soiye

raat pahlū meñ na leTī thī ki būñdeñ aa ga.iiñ

kūcha kūcha kāTte phirte haiñ yādoñ likhā

dil ko jaane kyā tirī rusvā.iyāñ samjhā ga.iiñ

duur tak koī na aayā un rutoñ ko chhoḌne

bādaloñ ko jo dhanak chūḌiyāñ pahnā ga.iiñ

shaam dahlīz par Thahrī huī yādeñ 'zubair'

ġham mehrāboñ ke dhundle ā.īne chamkā ga.iiñ

chhoD kar ghar ki faza ranaiyan pachhta gain

raston ki dhul mein aaraishen kajla gain

kis ne phaila di mere aangan mein chadar dhup ki

mere mahtabon ki sari suraten kumhla gain

apna tanha aks pa kar main ne kankar phenk di

sath-e-sahil par kai parchhaiyan lahra gain

muddaton ke baad ji chaha tha chhat par soiye

raat pahlu mein na leTi thi ki bunden aa gain

kucha kucha kaTte phirte hain yaadon ka likha

dil ko jaane kya teri ruswaiyan samjha gain

dur tak koi na aaya un ruton ko chhoDne

baadalon ko jo dhanak ki chuDiyan pahna gain

sham ki dahliz par Thahri hui yaaden 'zubair'

gham ki mehrabon ke dhundle aaine chamka gain

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now