aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

daman ki fikr hai na gareban ki fikr hai

Abdul Mateen Niyaz

daman ki fikr hai na gareban ki fikr hai

Abdul Mateen Niyaz

MORE BYAbdul Mateen Niyaz

    dāman fikr hai na garebāñ fikr hai

    ahl-e-vatan ko fitna-e-daurāñ fikr hai

    gulshan fikr hai na bayābāñ fikr hai

    ahl-e-junūñ ko fasl-e-bahārāñ fikr hai

    logoñ ko apnī fikr hai lekin mujhe nadīm

    bazm-e-hayāt-o-nazm-e-gulistāñ fikr hai

    ham maqtal-e-hayāt meñ haiñ sar-ba-kaf magar

    ahl-e-havas ko apne dil-o-jāñ fikr hai

    sāhil se duur rah ke hai manzil justujū

    maujoñ fikr ham ko na tūfāñ fikr hai

    ham ko nahīñ hai fikr kisī baat 'niyāz'

    tārīkiyoñ meñ sham-e-farozāñ fikr hai

    daman ki fikr hai na gareban ki fikr hai

    ahl-e-watan ko fitna-e-dauran ki fikr hai

    gulshan ki fikr hai na bayaban ki fikr hai

    ahl-e-junun ko fasl-e-bahaaran ki fikr hai

    logon ko apni fikr hai lekin mujhe nadim

    bazm-e-hayat-o-nazm-e-gulistan ki fikr hai

    hum maqtal-e-hayat mein hain sar-ba-kaf magar

    ahl-e-hawas ko apne dil-o-jaan ki fikr hai

    sahil se dur rah ke hai manzil ki justuju

    maujon ki fikr hum ko na tufan ki fikr hai

    hum ko nahin hai fikr kisi baat ki 'niyaz'

    tarikiyon mein sham-e-farozan ki fikr hai

    Source:

    Naghma-e-Shuoor (Pg. 26)

    • Author: Abdul Mateen Niyaz
      • Edition: 1967
      • Publisher: Markaz-e-Adab, Bhopal
      • Year of Publication: 1967
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now