Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dastak hawa ki sun ke kabhi Dar nahin gaya

Azeem Haider Syed

dastak hawa ki sun ke kabhi Dar nahin gaya

Azeem Haider Syed

MORE BYAzeem Haider Syed

    dastak havā sun ke kabhī Dar nahīñ gayā

    lekin maiñ chāñd-rāt meñ bāhar nahīñ gayā

    āñkhoñ meñ uḌ rahā hai abhī tak ġhubār-e-hijr

    ab tak vidā-e-yār manzar nahīñ gayā

    ai shām-e-hijr-e-yār mirī gavāhī de

    maiñ tere saath saath rahā ghar nahīñ gayā

    ne bhī saare zaḳhm kisī taur sah liye

    maiñ bhī bichhaḌ ke liyā mar nahīñ gayā

    saada fasīl-e-shahr mujhe dekhtī rahī

    lekin maiñ terā naam bhī likh kar nahīñ gayā

    baḳhshā shab-e-firāq ko dil ne abad tuul

    shab bhar lahūluhān rahā mar nahīñ gayā

    dastak hawa ki sun ke kabhi Dar nahin gaya

    lekin main chand-raat mein bahar nahin gaya

    aankhon mein uD raha hai abhi tak ghubar-e-hijr

    ab tak wida-e-yar ka manzar nahin gaya

    ai sham-e-hijr-e-yar meri tu gawahi de

    main tere sath sath raha ghar nahin gaya

    tu ne bhi sare zaKHm kisi taur sah liye

    main bhi bichhaD ke ji hi liya mar nahin gaya

    sada fasil-e-shahr mujhe dekhti rahi

    lekin main tera nam bhi likh kar nahin gaya

    baKHsha shab-e-firaq ko dil ne abad ka tul

    shab bhar lahuluhan raha mar nahin gaya

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    dastak hawa ki sun ke kabhi Dar nahin gaya Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now