Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

diwaron par gili rekhaen roti hain

Muzaffar Hanfi

diwaron par gili rekhaen roti hain

Muzaffar Hanfi

dīvāroñ par giilī rekhā.eñ rotī haiñ

tīnoñ par ghuñghrū būñdeñ naach rahī haiñ

pairoñ meñ makḌī ne jaalā taan rakhā hai

par phailā kar chiḌiyāñ kāñdhe par baiThī haiñ

Dol rahe haiñ āñkhoñ meñ patthar ke saa.e

shiryānoñ meñ bahtī nadiyāñ suukh chukī haiñ

dar par vīrānī parda jhuul rahā hai

khūñTī se tanhā.ī beleñ laTkī haiñ

mujh se mat bolo maiñ aaj bharā baiThā huuñ

cigarette ke donoñ paikeT bilkul ḳhālī haiñ

dushman kyuuñ zahmat farmā.eñ merī ḳhātir

ḳhud ko muḳhlis kahne vaale kaafī haiñ

bachpan meñ ākāsh ko chhūtā lagtā thā

is pīpal shāḳheñ ab kitnī nīchī haiñ

zaḳhmoñ chhalnī meñ un ko chhān rahā huuñ

kirneñ apne saath añdhere bhī laa.ī haiñ

chaliye sāhab aur koī darvāza dekheñ

aaj 'muzaffar' bāteñ bahkī bahkī haiñ

diwaron par gili rekhaen roti hain

tinon par ghunghru ki bunden nach rahi hain

pairon mein makDi ne jala tan rakha hai

par phaila kar chiDiyan kandhe par baiThi hain

Dol rahe hain aankhon mein patthar ke sae

shiryanon mein bahti nadiyan sukh chuki hain

dar par virani ka parda jhul raha hai

khunTi se tanhai ki belen laTki hain

mujh se mat bolo main aaj bhara baiTha hun

cigarette ke donon paikeT bilkul KHali hain

dushman kyun zahmat farmaen meri KHatir

KHud ko muKHlis kahne wale hi kafi hain

bachpan mein aakash ko chhuta sa lagta tha

is pipal ki shaKHen ab kitni nichi hain

zaKHmon ki chhalni mein un ko chhan raha hun

kirnen apne sath andhere bhi lai hain

chaliye sahab aur koi darwaza dekhen

aaj 'muzaffar' ki baaten bahki bahki hain

Source :
  • Book : kamaan (Pg. 198)
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now