dil-lagi apni tere zikr se kis raat na thi
dil-lagī apnī tire zikr se kis raat na thī
sub.h tak shaam se yā-hū ke sivā baat na thī
iltijā tujh se kab ai qibla-e-hājāt na thī
terī dargāh meñ kis roz munājāt na thī
ab mulāqāt huī hai to mulāqāt rahe
na mulāqāt thī jab tak ki mulāqāt na thī
ġhuncha-e-gul ko na hañsnā thā tirī sūrat se
chhoTe se muñh kī sazā-vār baḌī baat na thī
ibtidā se tujhe maujūd samajhtā thā maiñ
mire tere kabhī parde kī mulāqāt na thī
ai nasīm-e-saharī bahr-e-asīrān-e-qafas
tohfa-tar nik.hat-e-gul se koī sauġhāt na thī
un dinoñ 'ishq rulātā thā hameñ sūrat-e-abr
kaun sī fasl thī vo jis meñ ki barsāt na thī
kyā kahūñ us ke jo mujh par karam-e-pinhāñ the
zāhirī yaar se har-chand mulāqāt na thī
apne bāñdhe ho.e gaatī tujhe dekhā phaḌkā
dilrubā shai thī mirī jaan tirī gaat na thī
ek meñ mil ga.e ai shāh-savār ahl-e-niyāz
nāz-e-ma.ashūq thā tū sun kī tire laat na thī
lab ke bose kā hai inkār ta'ajjub ai yaar
phere saa.il se jo muñh ko vo tirī zaat na thī
kamar-e-yār thī az-bas-ki nihāyat nāzuk
sūjhtī bandish-e-mazmūñ kī koī ghaat na thī
un dinoñ hotā thā tū ghar meñ hamāre shab-bāsh
roz-e-raushan se kam ai mehr-laqā raat na thī
be-shu.ūroñ ne na samjhā to na samjhā 'ātish'
nukta-sanjoñ ko latīfa thī tirī baat na thī
dil-lagi apni tere zikr se kis raat na thi
subh tak sham se ya-hu ke siwa baat na thi
iltija tujh se kab ai qibla-e-hajat na thi
teri dargah mein kis roz munajat na thi
ab mulaqat hui hai to mulaqat rahe
na mulaqat thi jab tak ki mulaqat na thi
ghuncha-e-gul ko na hansna tha teri surat se
chhoTe se munh ki saza-war baDi baat na thi
ibtida se tujhe maujud samajhta tha main
mere tere kabhi parde ki mulaqat na thi
ai nasim-e-sahari bahr-e-asiran-e-qafas
tohfa-tar nikhat-e-gul se koi saughat na thi
un dinon 'ishq rulata tha hamein surat-e-abr
kaun si fasl thi wo jis mein ki barsat na thi
kya kahun us ke jo mujh par karam-e-pinhan the
zahiri yar se har-chand mulaqat na thi
apne bandhe hoe gati tujhe dekha phaDka
dilruba shai thi meri jaan teri gat na thi
ek mein mil gae ai shah-sawar ahl-e-niyaz
naz-e-mashuq tha tu sun ki tere lat na thi
lab ke bose ka hai inkar ta'ajjub ai yar
phere sail se jo munh ko wo teri zat na thi
kamar-e-yar thi az-bas-ki nihayat nazuk
sujhti bandish-e-mazmun ki koi ghat na thi
un dinon hota tha tu ghar mein hamare shab-bash
roz-e-raushan se kam ai mehr-laqa raat na thi
be-shuuron ne na samjha to na samjha 'atish'
nukta-sanjon ko latifa thi teri baat na thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.