Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil ne ek aah bhari aankh mein aansu aae

Gulnar Aafreen

dil ne ek aah bhari aankh mein aansu aae

Gulnar Aafreen

MORE BYGulnar Aafreen

    dil ne ik aah bharī aañkh meñ aañsū aa.e

    yaad ġham ke hameñ kuchh aur bhī pahlū aa.e

    zulmat-e-shab meñ hai rū-posh nishān-e-manzil

    ab mujhe raah dikhāne koī jugnū aa.e

    dil har zaḳhm tirī yaad ik phuul bane

    mere pairāhan-e-jāñ se tirī ḳhushbū aa.e

    tishna-kāmoñ kahīñ pyaas bujhā kartī hai

    dasht ko chhoḌ ke ab kaun lab-e-jū aa.e

    ek parchhā.īñ tasavvur mire saath rahe

    maiñ tujhe bhūlūñ magar yaad mujhe aa.e

    maiñ yahī aas liye ġham kaḌī dhuup meñ huuñ

    dil ke sahrā meñ tire pyaar aahū aa.e

    dil pareshān hai 'gulnār' to māhaul udaas

    ab zarūrat hai koī mutrib-e-ḳhush-ḳhū aa.e

    dil ne ek aah bhari aankh mein aansu aae

    yaad gham ke hamein kuchh aur bhi pahlu aae

    zulmat-e-shab mein hai ru-posh nishan-e-manzil

    ab mujhe rah dikhane koi jugnu aae

    dil ka har zaKHm teri yaad ka ek phul bane

    mere pairahan-e-jaan se teri KHushbu aae

    tishna-kaamon ki kahin pyas bujha karti hai

    dasht ko chhoD ke ab kaun lab-e-ju aae

    ek parchhain tasawwur ki mere sath rahe

    main tujhe bhulun magar yaad mujhe tu aae

    main yahi aas liye gham ki kaDi dhup mein hun

    dil ke sahra mein tere pyar ka aahu aae

    dil pareshan hai 'gulnar' to mahaul udas

    ab zarurat hai koi mutrib-e-KHush-KHu aae

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now