Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek kahani KHatm hui hai ek kahani baqi hai

Kumar Pashi

ek kahani KHatm hui hai ek kahani baqi hai

Kumar Pashi

ek kahānī ḳhatm huī hai ek kahānī baaqī hai

maiñ be-shak mismār huuñ lekin merā saanī baaqī hai

dasht-e-junūñ ḳhaak uḌāne vāloñ himmat dekho

TuuT chuke haiñ andar se lekin man-mānī baaqī hai

haath mire patvār bane haiñ aur lahreñ kashtī merī

zor havā qaa.em hai dariyā ravānī baaqī hai

gaahe gaahe ab bhī chale jaate haiñ ham us kūche meñ

zehn buzurgī oḌh chukā dil nādānī baaqī hai

kuchh ġhazleñ un zulfoñ par haiñ kuchh ġhazleñ un āñkhoñ par

jaane vaale dost ab ik yahī nishānī baaqī hai

na.ī na.ī āvāzeñ ubhrīñ 'pāshī' aur phir Duub ga.iiñ

shahr-e-suḳhan meñ lekin ik āvāz purānī baaqī hai

ek kahani KHatm hui hai ek kahani baqi hai

main be-shak mismar hun lekin mera sani baqi hai

dasht-e-junun ki KHak uDane walon ki himmat dekho

TuT chuke hain andar se lekin man-mani baqi hai

hath mere patwar bane hain aur lahren kashti meri

zor hawa ka qaem hai dariya ki rawani baqi hai

gahe gahe ab bhi chale jate hain hum us kuche mein

zehn buzurgi oDh chuka dil ki nadani baqi hai

kuchh ghazlen un zulfon par hain kuchh ghazlen un aankhon par

jaane wale dost ki ab ek yahi nishani baqi hai

nai nai aawazen ubhrin 'pashi' aur phir Dub gain

shahr-e-suKHan mein lekin ek aawaz purani baqi hai

RECITATIONS

Nomaan Shauque

Nomaan Shauque,

00:00/00:00
Nomaan Shauque

ek kahani KHatm hui hai ek kahani baqi hai Nomaan Shauque

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now