Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek KHuda par takiya kar ke baiTh gae hain

Abdul Hamid

ek KHuda par takiya kar ke baiTh gae hain

Abdul Hamid

ek ḳhudā par takiya kar ke baiTh ga.e haiñ

dekho ham bhī kyā kyā kar ke baiTh ga.e haiñ

pūchh rahe haiñ log are vo shaḳhs kahāñ hai

jaane kaun tamāshā kar ke baiTh ga.e haiñ

utre the maidān meñ sab kuchh Thiik kareñge

sab kuchh ulTā sīdhā kar ke baiTh ga.e haiñ

saare shajar shādābī sameTe apnī apnī

dhuup meñ gahrā saaya kar ke baiTh ga.e haiñ

lauT ga.e sab soch ke ghar meñ koī nahīñ hai

aur ye ham ki añdherā kar ke baiTh ga.e haiñ

ek KHuda par takiya kar ke baiTh gae hain

dekho hum bhi kya kya kar ke baiTh gae hain

puchh rahe hain log are wo shaKHs kahan hai

jaane kaun tamasha kar ke baiTh gae hain

utre the maidan mein sab kuchh Thik karenge

sab kuchh ulTa sidha kar ke baiTh gae hain

sare shajar shadabi sameTe apni apni

dhup mein gahra saya kar ke baiTh gae hain

lauT gae sab soch ke ghar mein koi nahin hai

aur ye hum ki andhera kar ke baiTh gae hain

RECITATIONS

Abdul Hamid

Abdul Hamid,

Abdul Hamid

ek KHuda par takiya kar ke baiTh gae hain Abdul Hamid

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now