Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

fan jo nadar tak nahin pahuncha

Sahir Ludhianvi

fan jo nadar tak nahin pahuncha

Sahir Ludhianvi

MORE BYSahir Ludhianvi

    fan jo nādār tak nahīñ pahuñchā

    abhī me.ayār tak nahīñ pahuñchā

    us ne bar-vaqt be-ruḳhī bartī

    shauq āzār tak nahīñ pahuñchā

    aks-e-mai ho ki jalva-e-gul ho

    rañg-e-rukHsār tak nahīñ pahuñchā

    harf-e-inkār sar buland rahā

    zo.af-e-iqrār tak nahīñ pahuñchā

    hukm-e-sarkār pahuñch mat pūchh

    ahl-e-sarkār tak nahīñ pahuñchā

    adl-gāheñ to duur shai haiñ

    qatl aḳhbār tak nahīñ pahuñchā

    inqilābāt-e-dahr buniyād

    haq jo haqdār tak nahīñ pahuñchā

    vo masīhā-nafas nahīñ jis

    silsila-dār tak nahīñ pahuñchā

    fan jo nadar tak nahin pahuncha

    abhi meayar tak nahin pahuncha

    us ne bar-waqt be-ruKHi barti

    shauq aazar tak nahin pahuncha

    aks-e-mai ho ki jalwa-e-gul ho

    rang-e-rukHsar tak nahin pahuncha

    harf-e-inkar sar buland raha

    zoaf-e-iqrar tak nahin pahuncha

    hukm-e-sarkar ki pahunch mat puchh

    ahl-e-sarkar tak nahin pahuncha

    adl-gahen to dur ki shai hain

    qatl aKHbar tak nahin pahuncha

    inqilabaat-e-dahr ki buniyaad

    haq jo haqdar tak nahin pahuncha

    wo masiha-nafas nahin jis ka

    silsila-dar tak nahin pahuncha

    Source :
    • Book : Kulliyat-e-Sahir Ludhianvi (Pg. 257)
    • Author : SAHIR LUDHIANVI
    • Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now