Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

faza ka rang nikharta dikhai deta hai

Azra Waheed

faza ka rang nikharta dikhai deta hai

Azra Waheed

fazā rañg nikhartā dikhā.ī detā hai

hai shab tamām ki sapnā dikhā.ī detā hai

lahū rañg hai miT kar bhī rañg lā.egā

ufuq rañg sunahrā dikhā.ī detā hai

vo jis ne dhuup ke mele ko chhat muhayyā

saḌak pe us baserā dikhā.ī detā hai

maiñ kaun huuñ ki hai sab kāñch vajūd mirā

mirā libās bhī mailā dikhā.ī detā hai

sarāb lab pe sajā.e har ek phirtā hai

mujhe to shahr bhī sahrā dikhā.ī detā hai

tane ko chhoḌ ke pattoñ ko thāmne vaalo

tumheñ shajar bhī tamāshā dikhā.ī detā hai

abhī se kashtiyāñ sāhil pe le chale logo

abhī se tum ko kinārā dikhā.ī detā hai

vo sauñp jaatā hai mujh ko havā ke hāthoñ meñ

usī mujh ko sahārā dikhā.ī detā hai

faza ka rang nikharta dikhai deta hai

hai shab tamam ki sapna dikhai deta hai

lahu ka rang hai miT kar bhi rang laega

ufuq ka rang sunahra dikhai deta hai

wo jis ne dhup ke mele ko chhat muhayya ki

saDak pe us ka basera dikhai deta hai

main kaun hun ki hai sab kanch ka wajud mera

mera libas bhi maila dikhai deta hai

sarab lab pe sajae har ek phirta hai

mujhe to shahr bhi sahra dikhai deta hai

tane ko chhoD ke patton ko thamne walo

tumhein shajar bhi tamasha dikhai deta hai

abhi se kashtiyan sahil pe le chale logo

abhi se tum ko kinara dikhai deta hai

wo saunp jata hai mujh ko hawa ke hathon mein

usi ka mujh ko sahaara dikhai deta hai

Source :
  • Book : Lahar Lahar (Pg. 44)
  • Author : Azra Waheed
  • Publication : Karwan-e-Adab Multan (1989)
  • Edition : 1989
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now