Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

gah pir-e-shaiKH gah murid-e-mughan rahe

Qayem Chaandpuri

gah pir-e-shaiKH gah murid-e-mughan rahe

Qayem Chaandpuri

MORE BYQayem Chaandpuri

    gah pīr-e-shaiḳh gaah murīd-e-muġhāñ rahe

    ab tak to aabrū se nibhī hai jahāñ rahe

    duniyā meñ ham rahe to ka.ī din pa is tarah

    dushman ke ghar meñ jaise koī mehmāñ rahe

    ai diida dil ko rote ho kyā tum hameñ to yaañ

    ye jhīknā paḌā hai kisī tarah jaañ rahe

    qismat to dekh baar bhī apnā girā to vaañ

    jis dasht-e-pur-ḳhatar meñ ka.ī kārvāñ rahe

    sohbat garmī ham se koī sīkhe misl-e-sham.a

    saare hue safed pa tad bhī javāñ rahe

    masjid se gar shaiḳh nikālā hameñ to kyā

    'qā.em' vo mai-farosh apne dukāñ rahe

    'qā.em' isī zamīñ ko phir kah par is tarah

    sun kar jise ki charḳh meñ nit āsmāñ rahe

    gah pir-e-shaiKH gah murid-e-mughan rahe

    ab tak to aabru se nibhi hai jahan rahe

    duniya mein hum rahe to kai din pa is tarah

    dushman ke ghar mein jaise koi mehman rahe

    ai dida dil ko rote ho kya tum hamein to yan

    ye jhikna paDa hai kisi tarah jaan rahe

    qismat to dekh bar bhi apna gira to wan

    jis dasht-e-pur-KHatar mein kai karwan rahe

    sohbat ki garmi hum se koi sikhe misl-e-shama

    sare hue safed pa tad bhi jawan rahe

    masjid se gar tu shaiKH nikala hamein to kya

    'qaem' wo mai-farosh ki apne dukan rahe

    'qaem' isi zamin ko tu phir kah par is tarah

    sun kar jise ki charKH mein nit aasman rahe

    Source:

    Deewan-e-Qaem Chandpuri (Rekhta Website) (Pg. 148)

      • Edition: 1963
      • Publisher: Jamal Printing Press, Delhi
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now