Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

gali gali meri yaad bichhi hai pyare rasta dekh ke chal

Nasir Kazmi

gali gali meri yaad bichhi hai pyare rasta dekh ke chal

Nasir Kazmi

galī galī mirī yaad bichhī hai pyāre rasta dekh ke chal

mujh se itnī vahshat hai to merī hadoñ se duur nikal

ek samay tirā phuul nāzuk haath thā mere shānoñ par

ek ye vaqt ki maiñ tanhā aur dukh ke kāñToñ jañgal

yaad hai ab tak tujh se bichhaḌne vo añdherī shaam mujhe

ḳhāmosh khaḌā thā lekin bāteñ kartā thā kājal

maiñ to ek na.ī duniyā dhun meñ bhaTaktā phirtā huuñ

merī tujh se kaise nibhegī ek haiñ tere fikr o amal

merā muñh kyā dekh rahā hai dekh is kaalī raat ko dekh

maiñ vahī terā hamrāhī huuñ saath mire chalnā ho to chal

gali gali meri yaad bichhi hai pyare rasta dekh ke chal

mujh se itni wahshat hai to meri hadon se dur nikal

ek samay tera phul sa nazuk hath tha mere shanon par

ek ye waqt ki main tanha aur dukh ke kanTon ka jangal

yaad hai ab tak tujh se bichhaDne ki wo andheri sham mujhe

tu KHamosh khaDa tha lekin baaten karta tha kajal

main to ek nai duniya ki dhun mein bhaTakta phirta hun

meri tujh se kaise nibhegi ek hain tere fikr o amal

mera munh kya dekh raha hai dekh is kali raat ko dekh

main wahi tera hamrahi hun sath mere chalna ho to chal

Videos
This video is playing from YouTube

Videos
This video is playing from YouTube

Nasir Kazmi

Nasir Kazmi

RECITATIONS

Nasir Kazmi

Nasir Kazmi,

Nasir Kazmi

gali gali meri yaad bichhi hai pyare rasta dekh ke chal Nasir Kazmi

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now