Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ghup andhera hai kya qayamat hai

Ijtiba Rizvi

ghup andhera hai kya qayamat hai

Ijtiba Rizvi

ghup añdherā hai kyā qayāmat hai

ik tabassum phir zarūrat hai

sar ko siine pe rakh ke sun liije

aap se dil ko kuchh shikāyat hai

nāsehoñ se hai mai-kashī faroġh

shauq parvarda-e-malāmat hai

dil dhaḌkan jo hai madār-e-hayāt

ik zarā tez ho to aafat hai

aag paanī se bhaap uThtī rahī

ham samajhte rahe mohabbat hai

dahr meñ ham kamāl-e-san.at haiñ

aur baaqī fareb-e-san.at hai

zulf bikhrā do donoñ aalam par

ki añdhere phir zarūrat hai

abhī jiine hukm hai 'rizvī'

aur kyā jaane kyā musībat hai

ghup andhera hai kya qayamat hai

ek tabassum ki phir zarurat hai

sar ko sine pe rakh ke sun lije

aap se dil ko kuchh shikayat hai

nasehon se hai mai-kashi ka farogh

shauq parwarda-e-malamat hai

dil ki dhaDkan jo hai madar-e-hayat

ek zara tez ho to aafat hai

aag pani se bhap uThti rahi

hum samajhte rahe mohabbat hai

dahr mein hum kamal-e-sanat hain

aur baqi fareb-e-sanat hai

zulf bikhra do donon aalam par

ki andhere ki phir zarurat hai

abhi jine ka hukm hai 'rizwi'

aur kya jaane kya musibat hai

Source :
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now