aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

goshe badal badal ke har ek raat kaT di

Tahir Faraz

goshe badal badal ke har ek raat kaT di

Tahir Faraz

MORE BYTahir Faraz

    goshe badal badal ke har ik raat kaaT

    kachche makāñ meñ ab ke bhī barsāt kaaT

    vo sar bhī kaaT detā to hotā na kuchh malāl

    afsos ye hai us ne mirī baat kaaT

    dil bhī lahūluhān hai āñkheñ bhī haiñ udaas

    shāyad anā ne shah-rag-e-jazbāt kaaT

    jab bhī hameñ charāġh mayassar na aa sakā

    sūraj ke zikr se shab-e-zulmāt kaaT

    jādūgarī khel adhūrā rah gayā

    darvesh ne shabīh-e-tilismāt kaaT

    hālāñki ham mile the baḌī muddatoñ ke ba.ad

    auqāt kamī ne mulāqāt kaaT

    ThanDī havā.eñ mahkī fazā narm chāñdnī

    shab to bas ek thī jo tire saat kaaT

    goshe badal badal ke har ek raat kaT di

    kachche makan mein ab ke bhi barsat kaT di

    wo sar bhi kaT deta to hota na kuchh malal

    afsos ye hai us ne meri baat kaT di

    dil bhi lahuluhan hai aankhen bhi hain udas

    shayad ana ne shah-rag-e-jazbaat kaT di

    jab bhi hamein charagh mayassar na aa saka

    suraj ke zikr se shab-e-zulmat kaT di

    jadugari ka khel adhura hi rah gaya

    darwesh ne shabih-e-tilismat kaT di

    haalanki hum mile the baDi muddaton ke baad

    auqat ki kami ne mulaqat kaT di

    ThanDi hawaen mahki faza narm chandni

    shab to bas ek thi jo tere sat kaT di

    Source:

    Kashkol (Pg. 122)

    • Author: Tahir Faraz
      • Edition: 2004
      • Publisher: Isteara Publications
      • Year of Publication: 2004
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now