Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

gul-pairahan rahe ki darida-qaba rahe

Jameel Malik

gul-pairahan rahe ki darida-qaba rahe

Jameel Malik

gul-pairahan rahe ki darīda-qabā rahe

jis haal meñ rahe tirā naqsh-e-baqā rahe

ham to tamām umr tirī adā rahe

ye kyā huā ki phir bhī hamīñ bevafā rahe

chāhī jo ne baat vahī baat ham ne

terī zabāñ bane tire dil sadā rahe

saath saath thā to ḳhudā.ī bhī saath thī

apnī rafāqatoñ ke nishāñ jā-ba-jā rahe

tujh ko bhulā ke bhī na tujhe ham bhalā sake

nā-āshnā vo the ki jahāñ āshnā rahe

sab dekhte the phir bhī koī dekhtā na thā

sab ke liye rasā the magar nā-rasā rahe

lab par ho shikva-rez tabassum bujhā huā

dil meñ magar kisī mohabbat sivā rahe

tasvīr tarah tirī sūrat ho rū-ba-rū

tasvīr ban ke koī tujhe dekhtā rahe

dil tañg ho to vus.at-e-ālam bhī tañg-tar

duniyā bahut khulī hai agar dil meñ rahe

lagte aañkh raat ke hañgāme so ga.e

jaage the jitnī der qayāmat bapā rahe

phūloñ ne ke sej sajā.ī tamām raat

kāñTe chaman ke sab mire dāman meñ aa rahe

ye jashn-e-nā-ḳhudā hai ki maujoñ raqs hai

kashtī ho ġharq-e-āb magar nā-ḳhudā rahe

kahne ko ek lafz mire paas hai 'jamīl'

jab le uḌe vo baat mire paas kyā rahe

gul-pairahan rahe ki darida-qaba rahe

jis haal mein rahe tera naqsh-e-baqa rahe

hum to tamam umr teri hi ada rahe

ye kya hua ki phir bhi hamin bewafa rahe

chahi jo tu ne baat wahi baat hum ne ki

teri zaban bane tere dil ki sada rahe

tu sath sath tha to KHudai bhi sath thi

apni rafaqaton ke nishan ja-ba-ja rahe

tujh ko bhula ke bhi na tujhe hum bhala sake

na-ashna wo the ki jahan aashna rahe

sab dekhte the phir bhi koi dekhta na tha

sab ke liye rasa the magar na-rasa rahe

lab par ho shikwa-rez tabassum bujha hua

dil mein magar kisi ki mohabbat siwa rahe

taswir ki tarah teri surat ho ru-ba-ru

taswir ban ke koi tujhe dekhta rahe

dil tang ho to wusat-e-alam bhi tang-tar

duniya bahut khuli hai agar dil mein ja rahe

lagte hi aankh raat ke hangame so gae

jage the jitni der qayamat bapa rahe

phulon ne ja ke sej sajai tamam raat

kanTe chaman ke sab mere daman mein aa rahe

ye jashn-e-na-KHuda hai ki maujon ka raqs hai

kashti ho gharq-e-ab magar na-KHuda rahe

kahne ko ek lafz mere pas hai 'jamil'

jab le uDe wo baat mere pas kya rahe

Source :
  • Book : naquush (Pg. 253)
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now