guzarti hai jo hum par raftagan hum kuchh nahin kahte
guzarti hai jo hum par raftagan hum kuchh nahin kahte
Afzal Gauhar Rao
MORE BYAfzal Gauhar Rao
guzartī hai jo ham par raftagāñ ham kuchh nahīñ kahte
tumheñ aa kar sunā.eñge yahāñ ham kuchh nahīñ karte
hamārī ḳhāmushī ke bhī ka.ī mafhūm hote haiñ
vahāñ bhī kuchh to kahte haiñ jahāñ ham kuchh nahīñ kahte
zamīñ ke dukh sunāte haiñ zamīñ kī baat karte haiñ
kabhī apne liye ai āsmāñ ham kuchh nahīñ kahte
kabhī dil se guzartī ho kahīñ āñkhoñ se bahtī ho
tujhe phir bhī kabhī jū-e-ravāñ ham kuchh nahīñ kahte
añdhere se maza aatā hai kuchh takrār karne meñ
tujhe to ai charāġh-e-nīm-jāñ ham kuchh nahīñ kahte
guzarti hai jo hum par raftagan hum kuchh nahin kahte
tumhein aa kar sunaenge yahan hum kuchh nahin karte
hamari KHamushi ke bhi kai mafhum hote hain
wahan bhi kuchh to kahte hain jahan hum kuchh nahin kahte
zamin ke dukh sunate hain zamin ki baat karte hain
kabhi apne liye ai aasman hum kuchh nahin kahte
kabhi dil se guzarti ho kahin aankhon se bahti ho
tujhe phir bhi kabhi ju-e-rawan hum kuchh nahin kahte
andhere se maza aata hai kuchh takrar karne mein
tujhe to ai charagh-e-nim-jaan hum kuchh nahin kahte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.