hum apne-ap pe bhi zahir kabhi dil ka haal nahin karte
ham apne-āp pe bhī zāhir kabhī dil kā haal nahīñ karte
chup rahte haiñ dukh sahte haiñ koī ranj-o-malāl nahīñ karte
ham jo kuchh haiñ ham jaise haiñ vaise hī dikhā.ī dete haiñ
chehre pe bhabhūt nahīñ malte kabhī kaale baal nahīñ karte
ham haar ga.e tum jiit ga.e ham ne khoyā tum ne paayā
in chhoTī chhoTī bātoñ kā ham koī ḳhayāl nahīñ karte
tere dīvāne ho jaate kahīñ sahrāoñ meñ kho jaate
dīvār-o-dar meñ qaid hameñ agar ahl-o-ayāl nahīñ karte
tirī marzī par ham raazī haiñ jo tū chāhe so ham chāheñ
ham hijr kī fikr nahīñ karte ham zikr-e-visāl nahīñ karte
hameñ tere sivā is duniyā meñ kisī aur se kyā lenā-denā
ham sab ko javāb nahīñ dete ham sab se savāl nahīñ karte
ġhazloñ meñ hamārī boltā hai vahī kānoñ meñ ras gholtā hai
vahī band kivāḌe kholtā hai ham koī kamāl nahīñ karte
hum apne-ap pe bhi zahir kabhi dil ka haal nahin karte
chup rahte hain dukh sahte hain koi ranj-o-malal nahin karte
hum jo kuchh hain hum jaise hain waise hi dikhai dete hain
chehre pe bhabhut nahin malte kabhi kale baal nahin karte
hum haar gae tum jit gae hum ne khoya tum ne paya
in chhoTi chhoTi baaton ka hum koi KHayal nahin karte
tere diwane ho jate kahin sahraon mein kho jate
diwar-o-dar mein qaid hamein agar ahl-o-ayal nahin karte
teri marzi par hum raazi hain jo tu chahe so hum chahen
hum hijr ki fikr nahin karte hum zikr-e-visal nahin karte
hamein tere siwa is duniya mein kisi aur se kya lena-dena
hum sab ko jawab nahin dete hum sab se sawal nahin karte
ghazlon mein hamari bolta hai wahi kanon mein ras gholta hai
wahi band kiwaDe kholta hai hum koi kamal nahin karte
- Book : Mom (Pg. 21)
- Author : valii aasii
- Publication : kitabi duniya 1955, Gali Nawab Mirza, Moh. Qabristan, Opp.Anglo Arabic School, Turkman Gate, delhi-6 (2006)
- Edition : 2006
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.