Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

humse bhaga na karo dur ghazalon ki tarah

Jan Nisar Akhtar

humse bhaga na karo dur ghazalon ki tarah

Jan Nisar Akhtar

ham se bhāgā na karo duur ġhazāloñ tarah

ham ne chāhā hai tumheñ chāhne vāloñ tarah

ḳhud-ba-ḳhud niind āñkhoñ meñ ghulī jaatī hai

mahkī mahkī hai shab-e-ġham tire bāloñ tarah

tere bin raat ke hāthoñ pe ye tāroñ ke ayāġh

ḳhūb-sūrat haiñ magar zahr ke pyāloñ tarah

aur kyā is se ziyāda koī narmī bartūñ

dil ke zaḳhmoñ ko chhuā hai tire gāloñ tarah

gungunāte hue aur aa kabhī un sīnoñ meñ

terī ḳhātir jo mahakte haiñ shivāloñ tarah

terī zulfeñ tirī āñkheñ tire abrū tire lab

ab bhī mash.hūr haiñ duniyā meñ misāloñ tarah

ham se māyūs na ho ai shab-e-daurāñ ki abhī

dil meñ kuchh dard chamakte haiñ ujāloñ tarah

mujh se nazreñ to milāo ki hazāroñ chehre

merī āñkhoñ meñ sulagte haiñ savāloñ tarah

aur to mujh ko milā kyā mirī mehnat sila

chand sikke haiñ mire haath meñ chhāloñ tarah

justujū ne kisī manzil pe Thaharne na diyā

ham bhaTakte rahe āvāra ḳhayāloñ tarah

zindagī jis ko tirā pyaar milā vo jaane

ham to nākām rahe chāhne vāloñ tarah

hum se bhaga na karo dur ghazalon ki tarah

hum ne chaha hai tumhein chahne walon ki tarah

KHud-ba-KHud nind si aankhon mein ghuli jati hai

mahki mahki hai shab-e-gham tere baalon ki tarah

tere bin raat ke hathon pe ye taron ke ayagh

KHub-surat hain magar zahr ke pyalon ki tarah

aur kya is se ziyaada koi narmi bartun

dil ke zaKHmon ko chhua hai tere galon ki tarah

gungunate hue aur aa kabhi un sinon mein

teri KHatir jo mahakte hain shiwalon ki tarah

teri zulfen teri aankhen tere abru tere lab

ab bhi mashhur hain duniya mein misalon ki tarah

hum se mayus na ho ai shab-e-dauran ki abhi

dil mein kuchh dard chamakte hain ujalon ki tarah

mujh se nazren to milao ki hazaron chehre

meri aankhon mein sulagte hain sawalon ki tarah

aur to mujh ko mila kya meri mehnat ka sila

chand sikke hain mere hath mein chhaalon ki tarah

justuju ne kisi manzil pe Thaharne na diya

hum bhaTakte rahe aawara KHayalon ki tarah

zindagi jis ko tera pyar mila wo jaane

hum to nakaam rahe chahne walon ki tarah

Videos
This video is playing from YouTube

Videos
This video is playing from YouTube

Ghulam Abbas

Ghulam Abbas

RECITATIONS

Nomaan Shauque

Nomaan Shauque,

00:00/00:00
Nomaan Shauque

humse bhaga na karo dur ghazalon ki tarah Nomaan Shauque

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now