Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hamari tahriren wardaten bahut zamane ke baad hongi

Musavvir Sabzwari

hamari tahriren wardaten bahut zamane ke baad hongi

Musavvir Sabzwari

hamārī tahrīreñ vārdāteñ bahut zamāne ke baad hoñgī

ravāñ ye be-his udaas nahreñ hamāre jaane ke baad hoñgī

khiñchī huī haiñ ufuq se dil tak alāmat-e-vasl lakīreñ

magar ye zinda ka.ī qabīloñ ḳhuuñ bahāne ke baad hoñgī

talab ke mausam gañvā.e maiñ ne kamāl-e-ġham se dhuāñ dhuāñ tum

shikāyateñ ye kaḌe mahāzoñ se lauT aane ke baad hoñgī

guzarte pattoñ chaap hogī tumhāre sehan-e-anā ke andar

fasurda yādoñ bārisheñ bhī mujhe bhulāne ke baad hoñgī

laraztī palkoñ chilmanoñ par nahīñ sitāra bhī pichhlī shab

kahā thā tum ne ki chāñd rāteñ tumhāre aane ke baad hoñgī

zamīn pairoñ se niklegī jab khuleñge sab bhed sāhiloñ ke

rihā.ishoñ sharā.it ab kashtiyāñ jalāne ke baad hoñgī

hamari tahriren wardaten bahut zamane ke baad hongi

rawan ye be-his udas nahren hamare jaane ke baad hongi

khinchi hui hain ufuq se dil tak alamat-e-wasl ki lakiren

magar ye zinda kai qabilon ka KHun bahane ke baad hongi

talab ke mausam ganwae main ne kamal-e-gham se dhuan dhuan tum

shikayaten ye kaDe mahazon se lauT aane ke baad hongi

guzarte patton ki chap hogi tumhaare sehan-e-ana ke andar

fasurda yaadon ki barishen bhi mujhe bhulane ke baad hongi

larazti palkon ki chilmanon par nahin sitara bhi pichhli shab ka

kaha tha tum ne ki chand raaten tumhaare aane ke baad hongi

zamin pairon se niklegi jab khulenge sab bhed sahilon ke

rihaishon ki sharait ab kashtiyan jalane ke baad hongi

RECITATIONS

Nomaan Shauque

Nomaan Shauque,

Nomaan Shauque

hamari tahriren wardaten bahut zamane ke baad hongi Nomaan Shauque

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now