Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

har aadmi ko KHwab dikhana muhaal hai

Zaheer Ghazipuri

har aadmi ko KHwab dikhana muhaal hai

Zaheer Ghazipuri

har aadmī ko ḳhvāb dikhānā muhāl hai

sho'loñ meñ jaise phuul khilānā muhāl hai

kāġhaz naav bhī hai khilaune bhī haiñ bahut

bachpan se phir bhī haath milānā muhāl hai

insāñ shakl meñ darinde bhī haiñ magar

har aks aa.ine meñ dikhānā muhāl hai

mushkil nahīñ utārnā sūraj ko thaal meñ

lekin charāġh us se jalānā muhāl hai

ik baar ḳhud jo lafzoñ ke piñjre meñ aa gayā

us tā.ir-e-navā ko uḌānā muhāl hai

apne lahū bheñT chaḌhāne ke baa'd bhī

qadroñ har fasīl tak aanā muhāl hai

tā-umr apnī fikr o riyāzat ke bāvajūd

ḳhud ko kisī sazā se bachānā muhāl hai

har aadmi ko KHwab dikhana muhaal hai

sho'lon mein jaise phul khilana muhaal hai

kaghaz ki naw bhi hai khilaune bhi hain bahut

bachpan se phir bhi hath milana muhaal hai

insan ki shakl hi mein darinde bhi hain magar

har aks aaine mein dikhana muhaal hai

mushkil nahin utarna suraj ko thaal mein

lekin charagh us se jalana muhaal hai

ek bar KHud jo lafzon ke pinjre mein aa gaya

us tair-e-nawa ko uDana muhaal hai

apne lahu ki bhenT chaDhane ke ba'd bhi

qadron ki har fasil tak aana muhaal hai

ta-umr apni fikr o riyazat ke bawajud

KHud ko kisi saza se bachana muhaal hai

Source :
  • Book : Karwaan-e-Ghazal (Pg. 271)
  • Author : Farooq Argali
  • Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd (2004)
  • Edition : 2004
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now