Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

har rasta pur-bahaar hua hai abhi abhi

Jan Kashmiri

har rasta pur-bahaar hua hai abhi abhi

Jan Kashmiri

har rasta pur-bahār huā hai abhī abhī

dil dil rāzdār huā hai abhī abhī

dāman dhajjiyoñ ko sitāroñ se bāñdh kar

koī falak ke paar huā hai abhī abhī

us ko patā nahīñ hai ḳhizāñ ke mizāj

vo vāqif-e-bahār huā hai abhī abhī

ishq-e-bashar se ishq-e-ḳhudā mo'tabar huā

ye nukta āshkār huā hai abhī abhī

ashkoñ meñ tair uTThī lahū lakīr

dil par nazar vaar huā hai abhī abhī

aa ḳhudā ke vāste aa na der kar

dil merā vā-guzār huā hai abhī abhī

maujoñ sīna-kūbī batātī hai barmalā

dariyā ke koī paar huā hai abhī abhī

us par likhī thī jān-e-mohabbat dāstāñ

dāman jo taar taar huā hai abhī abhī

har rasta pur-bahaar hua hai abhi abhi

dil dil ka raazdar hua hai abhi abhi

daman ki dhajjiyon ko sitaron se bandh kar

koi falak ke par hua hai abhi abhi

us ko pata nahin hai KHizan ke mizaj ka

wo waqif-e-bahaar hua hai abhi abhi

ishq-e-bashar se ishq-e-KHuda mo'tabar hua

ye nukta aashkar hua hai abhi abhi

ashkon mein tair uTThi lahu ki lakir si

dil par nazar ka war hua hai abhi abhi

aa ja KHuda ke waste aa ja na der kar

dil mera wa-guzar hua hai abhi abhi

maujon ki sina-kubi batati hai barmala

dariya ke koi par hua hai abhi abhi

us par likhi thi jaan-e-mohabbat ki dastan

daman jo tar tar hua hai abhi abhi

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now