Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

har zarra hai jamal ki duniya liye hue

Hanson Rehani

har zarra hai jamal ki duniya liye hue

Hanson Rehani

MORE BYHanson Rehani

    har zarra hai jamāl duniyā liye hue

    insāñ agar ho dīda-e-bīnā liye hue

    kaif-e-nigāh sehr-e-bayāñ masti-e-ḳhirām

    ham aa.e un bazm se kyā kyā liye hue

    naqsh-o-nigār-e-dahr rānā.iyāñ na pūchh

    dar-parda haiñ kisī sarāpā liye hue

    be-lāg maiñ guzar gayā har ḳhuub o zisht se

    apnī nazar meñ zauq-e-tamāshā liye hue

    rāh-e-hayāt meñ na milā koī ham-safar

    tanhā chalā huuñ naam kisī liye hue

    barbād-e-iltifāt taqdīr dekhnā

    vo aa.e bhī to ranjish be-jā liye hue

    hastī ke hādsoñ ke muqābil DaTā rahā

    maiñ un ik nazar sahārā liye hue

    'raihānī'-e-hazīñ hai ḳhizāñ meñ ġhazal-sarā

    rangīnī-e-bahār saudā liye hue

    har zarra hai jamal ki duniya liye hue

    insan agar ho dida-e-bina liye hue

    kaif-e-nigah sehr-e-bayan masti-e-KHiram

    hum aae un ki bazm se kya kya liye hue

    naqsh-o-nigar-e-dahr ki ranaiyan na puchh

    dar-parda hain kisi ka sarapa liye hue

    be-lag main guzar gaya har KHub o zisht se

    apni nazar mein zauq-e-tamasha liye hue

    rah-e-hayat mein na mila koi ham-safar

    tanha chala hun nam kisi ka liye hue

    barbaad-e-iltifat ki taqdir dekhna

    wo aae bhi to ranjish be-ja liye hue

    hasti ke hadson ke muqabil DaTa raha

    main un ki ek nazar ka sahaara liye hue

    'raihani'-e-hazin hai KHizan mein ghazal-sara

    rangini-e-bahaar ka sauda liye hue

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now