hawa ke sing na pakDo khadeD deti hai
havā ke siiñg na pakḌo khadeḌ detī hai
zamīñ se peḌoñ ke Tāñke udheḌ detī hai
maiñ chup karātā huuñ har shab umaDtī bārish ko
magar ye roz ga.ī baat chheḌ detī hai
zamīñ sā dūsrā koī saḳhī kahāñ hogā
zarā sā biij uThā le to peḌ detī hai
ruñdhe gale kī duāoñ se bhī nahīñ khultā
dar-e-hayāt jise maut bheḌ detī hai
hawa ke sing na pakDo khadeD deti hai
zamin se peDon ke Tanke udheD deti hai
main chup karaata hun har shab umaDti barish ko
magar ye roz gai baat chheD deti hai
zamin sa dusra koi saKHi kahan hoga
zara sa bij uTha le to peD deti hai
rundhe gale ki duaon se bhi nahin khulta
dar-e-hayat jise maut bheD deti hai
- Book : Chand Pukhraj Ka (Pg. 183)
- Author : Gulzar
- Publication : Roopa And Company (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.