Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ijazat kam thi jine ki magar mohlat ziyaada thi

Rajesh Reddy

ijazat kam thi jine ki magar mohlat ziyaada thi

Rajesh Reddy

MORE BYRajesh Reddy

    ijāzat kam thī jiine magar mohlat ziyāda thī

    hamāre paas marne ke liye fursat ziyāda thī

    ta.ajjub meñ to paḌtā rahā hai aa.ina aksar

    magar is baar us āñkhoñ meñ hairat ziyāda thī

    bulandī ke liye bas apnī nazroñ se girnā thā

    hamārī kam-nasībī ham meñ kuchh ġhairat ziyāda thī

    javāñ hone se pahle buḌhāpā aa gayā ham par

    hamārī muflisī par umr ujlat ziyāda thī

    zamāne se alag rah kar bhī maiñ shāmil rahā is meñ

    mire inkār meñ iqrār niyyat ziyāda thī

    mayassar muft meñ the āsmāñ ke chāñd taare tak

    zamīñ ke har khilaune magar qīmat ziyāda thī

    vo dil se kam zabāñ se ziyāda baat kartā thā

    jabhī us ke yahāñ gahrā.ī kam vus.at ziyāda thī

    ijazat kam thi jine ki magar mohlat ziyaada thi

    hamare pas marne ke liye fursat ziyaada thi

    tajjub mein to paDta hi raha hai aaina aksar

    magar is bar us ki aankhon mein hairat ziyaada thi

    bulandi ke liye bas apni hi nazron se girna tha

    hamari kam-nasibi hum mein kuchh ghairat ziyaada thi

    jawan hone se pahle hi buDhapa aa gaya hum par

    hamari muflisi par umr ki ujlat ziyaada thi

    zamane se alag rah kar bhi main shamil raha is mein

    mere inkar mein iqrar ki niyyat ziyaada thi

    mayassar muft mein the aasman ke chand tare tak

    zamin ke har khilaune ki magar qimat ziyaada thi

    wo dil se kam zaban hi se ziyaada baat karta tha

    jabhi us ke yahan gahrai kam wusat ziyaada thi

    Source :
    • Book : Sehmaahi Aamad (Pg. 127)
    • Author : Azeema Firdausi
    • Publication : Arzoo Manzil, Sheesh Mahal Colony, Alamganj, Patna (Volume:2, Issue:5, Oct. Dec 2013)
    • Edition : Volume:2, Issue:5, Oct. Dec 2013

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now