Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek sahifa naya utra hai suna hai logo

Raziya Faseeh Ahmad

ek sahifa naya utra hai suna hai logo

Raziya Faseeh Ahmad

ik sahīfa nayā utrā hai sunā hai logo

mārnā dost bhī jis meñ ravā hai logo

ham ne jo kuchh na kyā us sazā bhī paa.ī

aur vo jo bhī kare sab ravā hai logo

zulm had hai jahāñ ḳhatm vahāñ par vo hai

DhūñD lo us ko yahī us patā hai logo

dil meñ ik shola-e-ummīd thā so sard huā

chāñd māthe mire kab bujhā hai logo

jis ko tum kahte ho ḳhush-baḳht sadā hai mazlūm

jiinā har daur meñ aurat ḳhatā hai logo

dekhiye zaḳhm kyā haal huā hai 'raziya'

aaj to dard mirā had se sivā hai logo

ek sahifa naya utra hai suna hai logo

marna dost ka bhi jis mein rawa hai logo

hum ne jo kuchh na kya us ki saza bhi pai

aur wo jo bhi kare sab hi rawa hai logo

zulm ki had hai jahan KHatm wahan par wo hai

DhunD lo us ko yahi us ka pata hai logo

dil mein ek shola-e-ummid tha so sard hua

chand mathe ka mere kab ka bujha hai logo

jis ko tum kahte ho KHush-baKHt sada hai mazlum

jina har daur mein aurat ka KHata hai logo

dekhiye zaKHm ka kya haal hua hai 'raziya'

aaj to dard mera had se siwa hai logo

Source :
  • Book : Urdu Gazal ka Magribi Daricha (Pg. 93)
  • Author : Dr. Jawaz Jafri
  • Publication : Kitab Saray, Lahore (2011)
  • Edition : 2011
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now