Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek tez tir tha ki laga aur nikal gaya

Muneer Niyazi

ek tez tir tha ki laga aur nikal gaya

Muneer Niyazi

ik tez tiir thā ki lagā aur nikal gayā

maarī jo chīḳh rail ne jañgal dahal gayā

soyā huā thā shahr kisī saañp tarah

maiñ dekhtā rah gayā aur chāñd Dhal gayā

ḳhvāhish garmiyāñ thiiñ ajab un ke jism meñ

ḳhūbāñ sohbatoñ meñ mirā ḳhuun jal gayā

thī shaam zahr-e-rañg meñ Duubī huī khaḌī

phir ik zarā der meñ manzar badal gayā

muddat ke ba.ad aaj use dekh kar 'munīr'

ik baar dil to dhaḌkā magar phir sambhal gayā

ek tez tir tha ki laga aur nikal gaya

mari jo chiKH rail ne jangal dahal gaya

soya hua tha shahr kisi sanp ki tarah

main dekhta hi rah gaya aur chand Dhal gaya

KHwahish ki garmiyan thin ajab un ke jism mein

KHuban ki sohbaton mein mera KHun jal gaya

thi sham zahr-e-rang mein Dubi hui khaDi

phir ek zara si der mein manzar badal gaya

muddat ke baad aaj use dekh kar 'munir'

ek bar dil to dhaDka magar phir sambhal gaya

Source :
  • Book : kulliyat-e-muniir niyaazii (Pg. 318)
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now