Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

irtikab-e-jurm shar ki baat hai

Haidar Ali Jafri

irtikab-e-jurm shar ki baat hai

Haidar Ali Jafri

MORE BYHaidar Ali Jafri

    irtikāb-e-jurm shar baat hai

    aur barī honā hunar baat hai

    ik kahānī hai ki sadiyoñ par muhīt

    sochne meñ dopahar baat hai

    aa.e Thahre aur ravāna ho ga.e

    zindagī kyā hai, safar baat hai

    ek sho.ala lapak kar rah gayā

    ye hayāt-e-muḳhtasar baat hai

    nāsehā gar ho sake manzil pe mil

    zindagī to rah-guzar baat hai

    shādī-o-ġham par kareñ kyā tabsira

    tere mere sab ke ghar baat hai

    rāste to haiñ magar manzil nahīñ

    kyā hamāre rāhbar baat hai

    ab to dūkānoñ pe biktī hai vafā

    dosto ifrāt-e-zar baat hai

    bāl-o-par hote to kyuuñ hote asiir

    qaid meñ kyuuñ bāl-o-par baat hai

    mutma.in koī nahīñ hālāt se

    shaam ke lab par sahar baat hai

    har qavī ko hai vahāñ jaane haq

    dasht aur bahr-o-bar baat hai

    murdanī zaa.il ho baaqī rahe

    ye tire husn-e-nazar baat hai

    irtikab-e-jurm shar ki baat hai

    aur bari hona hunar ki baat hai

    ek kahani hai ki sadiyon par muhit

    sochne mein dopahar ki baat hai

    aae Thahre aur rawana ho gae

    zindagi kya hai, safar ki baat hai

    ek shoala sa lapak kar rah gaya

    ye hayat-e-muKHtasar ki baat hai

    naseha gar ho sake manzil pe mil

    zindagi to rah-guzar ki baat hai

    shadi-o-gham par karen kya tabsira

    tere mere sab ke ghar ki baat hai

    raste to hain magar manzil nahin

    kya hamare rahbar ki baat hai

    ab to dukanon pe bikti hai wafa

    dosto ifraat-e-zar ki baat hai

    baal-o-par hote to kyun hote asir

    qaid mein kyun baal-o-par ki baat hai

    mutmain koi nahin haalat se

    sham ke lab par sahar ki baat hai

    har qawi ko hai wahan jaane ka haq

    dasht ki aur bahr-o-bar ki baat hai

    murdani zail ho ya baqi rahe

    ye tere husn-e-nazar ki baat hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now