aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ishq hai yar ka KHuda-hafiz

Sakhi Lakhnvi

ishq hai yar ka KHuda-hafiz

Sakhi Lakhnvi

MORE BYSakhi Lakhnvi

    ishq hai yaar ḳhudā-hāfiz

    amr-e-dushvār ḳhudā-hāfiz

    pech mujh par paḌe jo paḌnā ho

    zulf-e-ḳhamdār ḳhudā-hāfiz

    sar jo Takrātā huuñ to kahte haiñ

    merī dīvār ḳhudā-hāfiz

    sarfaroshoñ chashm-e-bad na paḌe

    un talvār ḳhudā-hāfiz

    dafn ham ho chuke to kahte haiñ

    is gunahgār ḳhudā-hāfiz

    dasht chhūTā to ābloñ ne kahā

    yaañ ke har ḳhaar ḳhudā-hāfiz

    baat karne meñ hoñT laḌte haiñ

    aise takrār ḳhudā-hāfiz

    bulbuleñ qaid-e-bāġhbāñ ġhāfil

    gul-e-zardār ḳhudā-hāfiz

    gar 'saḳhī' ko hai ishq āzār

    aise bīmār ḳhudā-hāfiz

    ishq hai yar ka KHuda-hafiz

    amr-e-dushwar ka KHuda-hafiz

    pech mujh par paDe jo paDna ho

    zulf-e-KHamdar ka KHuda-hafiz

    sar jo Takraata hun to kahte hain

    meri diwar ka KHuda-hafiz

    sarfaroshon ki chashm-e-bad na paDe

    un ki talwar ka KHuda-hafiz

    dafn hum ho chuke to kahte hain

    is gunahgar ka KHuda-hafiz

    dasht chhuTa to aablon ne kaha

    yan ke har KHar ka KHuda-hafiz

    baat karne mein honT laDte hain

    aise takrar ka KHuda-hafiz

    bulbulen qaid-e-baghban ghafil

    gul-e-zardar ka KHuda-hafiz

    gar 'saKHi' ko hai ishq ka aazar

    aise bimar ka KHuda-hafiz

    Source:

    Deewan-e-Sakhi(Naghma-e-Hazar) (Pg. ebook-39 page-30)

    • Author: Sakhi Lakhnvi
      • Edition: 1882
      • Publisher: Daruttaba Bandobast, Hyderabad
      • Year of Publication: 1882
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now