Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ishq se ijtinab kar lena

Hamid Iqbal Siddiqui

ishq se ijtinab kar lena

Hamid Iqbal Siddiqui

MORE BYHamid Iqbal Siddiqui

    ishq se ijtināb kar lenā

    apnī miTTī ḳharāb kar lenā

    ham ne duniyā ko ḳhuub jhelā hai

    ham se kuchh iktisāb kar lenā

    bebasī se najāt mil jaa.e

    phir savāl-o-javāb kar lenā

    chhoḌ izzat-ma.āb logoñ ko

    ḳhud ko ālī-janāb kar lenā

    kal tujhe kuchh gunāh karne haiñ

    aaj kār-e-savāb kar lenā

    is ko bhar lenā apnī āñkhoñ meñ

    ik haqīqat ko ḳhvāb kar lenā

    kyā kamī hai hasīn chehroñ

    phir nayā intiḳhāb kar lenā

    tum sar-e-ām ek din 'hāmid'

    ruuh ko be-naqāb kar lenā

    hama-tan-gosh hai ye vīrānī

    yaar 'hāmid' ḳhitāb kar lenā

    ishq se ijtinab kar lena

    apni miTTi KHarab kar lena

    hum ne duniya ko KHub jhela hai

    hum se kuchh iktisab kar lena

    bebasi se najat mil jae

    phir sawal-o-jawab kar lena

    chhoD izzat-maab logon ko

    KHud ko aali-janab kar lena

    kal tujhe kuchh gunah karne hain

    aaj kar-e-sawab kar lena

    is ko bhar lena apni aankhon mein

    ek haqiqat ko KHwab kar lena

    kya kami hai hasin chehron ki

    phir naya intiKHab kar lena

    tum sar-e-am ek din 'hamid'

    ruh ko be-naqab kar lena

    hama-tan-gosh hai ye virani

    yar 'hamid' KHitab kar lena

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now