Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jab bhi koi baat ki aansu Dhalke sath

Anjum Rumani

jab bhi koi baat ki aansu Dhalke sath

Anjum Rumani

jab bhī koī baat aañsū Dhalke saath

ham bhī pāgal ho ga.e man pāgal ke saath

raat ko kaalī chāñdnī din ko kaalī dhuup

DhūñDeñ āñkheñ raushnī raheñ dhuñdalke saath

māreñ Tāmak-Toīye añdhiyāre meñ log

taare saare bujh ga.e dil ke kañval ke saath

aaj hai man meñ ran paḌā aaj rakkho laaj

jhūTī kal dostī jhūTe kal ke saath

paap karo khol kar dhabboñ kyā soch

jab chāhā dho liye gañgā-jal ke saath

gurū to ḳhair gurū huā us bhalī kahī

chaltā hai kyā bālakā uchhal uchhal ke saath

rail bajā.e sīTiyāñ dauḌo vaqt chalā

huqqa piine chaudharī gayā ajal ke saath

totoñ ne haiñ aaj kal khole yahāñ schōl

bailoñ ne haiñ aadmī juute hal ke saath

aan aan meñ ho ga.ī duniyā aur se aur

ham tum baiThe rah ga.e biite pal ke saath

duniyā ye riit hai māñge bhiik na de

paa.e vahī jo chhīn le baḌh kar bal ke saath

koī vaqt ko rok lo gayā na aa.e haath

aatā pal bhī lo gayā jaate pal ke saath

ghar baiThe hogī nahīñ vahshat dil duur

raas rachī hai shahr meñ dekho chal ke saath

madh maate saath kyā aa.ī lahr gayā

partav le man bāñvarā har āñchal ke saath

ham ko dekho ga.e maTke zahr bhare

tum to be-sudh ho ga.e ik botal ke saath

jaatā thā ik qāfila rūp-nagar aur

ham bhī 'anjum' ho liye bhes badal ke saath

jab bhi koi baat ki aansu Dhalke sath

hum bhi pagal ho gae man pagal ke sath

raat ko kali chandni din ko kali dhup

DhunDen aankhen raushni rahen dhundalke sath

maren Tamak-Toiye andhiyare mein log

tare sare bujh gae dil ke kanwal ke sath

aaj hai man mein ran paDa aaj ki rakkho laj

jhuTi kal ki dosti jhuTe kal ke sath

pap karo ji khol kar dhabbon ki kya soch

jab ji chaha dho liye ganga-jal ke sath

guru to KHair guru hua us ki bhali kahi

chalta hai kya baalaka uchhal uchhal ke sath

rail bajae siTiyan dauDo waqt chala

huqqa pine chaudhari gaya ajal ke sath

toton ne hain aaj kal khole yahan school

bailon ne hain aadmi jute hal ke sath

aan ki aan mein ho gai duniya aur se aur

hum tum baiThe rah gae bite pal ke sath

duniya ki ye rit hai mange bhik na de

pae wahi jo chhin le baDh kar bal ke sath

koi waqt ko rok lo gaya na aae hath

aata pal bhi lo gaya jate pal ke sath

ghar baiThe hogi nahin wahshat dil ki dur

ras rachi hai shahr mein dekho chal ke sath

madh mate ka sath kya aai lahr gaya

partaw le man banwara har aanchal ke sath

hum ko dekho pi gae maTke zahr bhare

tum to be-sudh ho gae ek botal ke sath

jata tha ek qafila rup-nagar ki aur

hum bhi 'anjum' ho liye bhes badal ke sath

Source :
  • Book : shaahraah(12) (Pg. 88)
  • Edition : 1955
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now