Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jab kabhi tum meri jaanib aaoge

Aazim Kohli

jab kabhi tum meri jaanib aaoge

Aazim Kohli

jab kabhī tum merī jānib aaoge

mujh ko apnā muntazir pāoge

dekhnā kaise pighalte jāoge

jab mirī āġhosh meñ tum aaoge

gesu-e-pechāñ meñ mujh ko bāñdh kar

tum bhī ab bach kar kahāñ tak jāoge

hashr ke din to chhoḌo hashr par

umr bhar ye ḳhauf kyūñkar khāoge

vaqt 'āzim' ke phir aatā nahīñ

vaqt ko vāpas kahāñ se lāoge

jab kabhi tum meri jaanib aaoge

mujh ko apna muntazir hi paoge

dekhna kaise pighalte jaoge

jab meri aaghosh mein tum aaoge

gesu-e-pechan mein mujh ko bandh kar

tum bhi ab bach kar kahan tak jaoge

hashr ke din ki to chhoDo hashr par

umr bhar ye KHauf kyunkar khaoge

waqt 'azim' ja ke phir aata nahin

waqt ko wapas kahan se laoge

Source :
  • Book : Aaghaz (Pg. 59)
  • Author : Aazim Gurvinder Singh Kohli
  • Publication : Aazim Gurvinder Singh Kohli, 3/78 Punjabi Bagh,New Delhi-110026 (january 1998)
  • Edition : january 1998
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now