jab uski zulf mein pahla safed baal aaya
jab us kī zulf meñ pahlā safed baal aayā
tab us ko pahlī mulāqāt kā ḳhayāl aayā
vo jis kā zikr ham itnī ḳhushī se karte haiñ
vahī to umr meñ sab se udaas saal aayā
bahut dinoñ se maiñ zindoñ meñ thā na murdoñ meñ
ġhazal huī to mire dasht meñ ġhazāl aayā
ziyāda-tar to ham apnī hī ḳhaak uḌāte rahe
tumhārā ruup to she.roñ meñ ḳhaal ḳhaal aayā
jab us ki zulf mein pahla safed baal aaya
tab us ko pahli mulaqat ka KHayal aaya
wo jis ka zikr hum itni KHushi se karte hain
wahi to umr mein sab se udas sal aaya
bahut dinon se main zindon mein tha na murdon mein
ghazal hui to mere dasht mein ghazal aaya
ziyaada-tar to hum apni hi KHak uDate rahe
tumhaara rup to sheron mein KHal KHal aaya
- Book : makhzan(shazaad ahmad number-) (Pg. 162)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.