jafa se wafa mustarad ho gai
jafā se vafā mustarad ho ga.ī
yahāñ ham bhī qaa.il haiñ had ho ga.ī
nigāhoñ meñ phirtī hai āThoñ pahar
qayāmat bhī zālim kā qad ho ga.ī
azal meñ jo ik laag tujh se huī
vo āḳhir ko dāġh-e-abad ho ga.ī
mirī intihā-e-vafā kuchh na pūchh
jafā dekh jo lā-ta.ad ho ga.ī
mukarte ho allāh ke sāmne
ab aisā bhī kyā jhuuT had ho ga.ī
ta.alluq jo palTā to jhagḌā banā
mohabbat jo badlī to kad ho ga.ī
vo āñkhoñ kī hadd-e-nazar kab bane
nazar ḳhud vahāñ jā ke had ho ga.ī
jafā se unhoñ ne diyā dil pe daaġh
mukammal vafā kī sanad ho ga.ī
qayāmat meñ 'muztar' kisī se mile
kahāñ jā ke gherā hai had ho ga.ī
jafa se wafa mustarad ho gai
yahan hum bhi qail hain had ho gai
nigahon mein phirti hai aaThon pahar
qayamat bhi zalim ka qad ho gai
azal mein jo ek lag tujh se hui
wo aaKHir ko dagh-e-abad ho gai
meri intiha-e-wafa kuchh na puchh
jafa dekh jo la-tad ho gai
mukarte ho allah ke samne
ab aisa bhi kya jhuT had ho gai
talluq jo palTa to jhagDa bana
mohabbat jo badli to kad ho gai
wo aankhon ki hadd-e-nazar kab bane
nazar KHud wahan ja ke had ho gai
jafa se unhon ne diya dil pe dagh
mukammal wafa ki sanad ho gai
qayamat mein 'muztar' kisi se mile
kahan ja ke ghera hai had ho gai
- Book : Khirman (Part-1) (Pg. 100)
- Author : Muztar Khairabadi
- Publication : Javed Akhtar (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.