Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jahan sare hawa banne ki koshish kar rahe the

Abbas Qamar

jahan sare hawa banne ki koshish kar rahe the

Abbas Qamar

MORE BYAbbas Qamar

    jahāñ saare havā banñe koshish kar rahe the

    vahāñ bhī ham diyā banñe koshish kar rahe the

    hameñ zor-e-tasavvur bhī gañvānā paḌ gayā ham

    tasavvur meñ ḳhudā banñe koshish kar rahe the

    zamīñ par aa gire jab āsmāñ se ḳhvāb mere

    zamīñ ne pūchhā kyā banñe koshish kar rahe the

    unheñ āñkhoñ ne bedardī se be-ghar kar diyā hai

    ye aañsū qahqaha banñe koshish kar rahe the

    hameñ dushvāriyoñ meñ muskurāne talab thī

    ham ik tasvīr banñe koshish kar rahe the

    jahan sare hawa banne ki koshish kar rahe the

    wahan bhi hum diya banne ki koshish kar rahe the

    hamein zor-e-tasawwur bhi ganwana paD gaya hum

    tasawwur mein KHuda banne ki koshish kar rahe the

    zamin par aa gire jab aasman se KHwab mere

    zamin ne puchha kya banne ki koshish kar rahe the

    unhen aankhon ne bedardi se be-ghar kar diya hai

    ye aansu qahqaha banne ki koshish kar rahe the

    hamein dushwariyon mein muskurane ki talab thi

    hum ek taswir sa banne ki koshish kar rahe the

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now