Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jang mein parwar-digar-e-shab ka kya qissa hua

Jamuna Parsad Rahi

jang mein parwar-digar-e-shab ka kya qissa hua

Jamuna Parsad Rahi

MORE BYJamuna Parsad Rahi

    jañg meñ parvar-digār-e-shab kyā qissā huā

    lashkar-e-shab sub.h sarhad pe kyuuñ paspā huā

    ik ajab pyaas maujoñ meñ sadā detī huī

    maiñ samundar apnī dahlīz par bikhrā huā

    kachchī dīvāreñ sadā-noshī meñ kitnī taaq thiiñ

    pattharoñ meñ chīḳh kar dekhā to andāzā huā

    kyā sadāoñ ko salīb-e-ḳhāmushī de ga.ī

    junūñ ke ḳhvāb tābīr sannāTā huā

    rafta rafta mausamoñ ke rañg yuuñ bikhre ki bas

    hai mire andar koī zinda magar TuuTā huā

    sabz hāthoñ lakīreñ zard māthe shikan

    aur kyā detā mirī taqdīr likkhā huā

    jang mein parwar-digar-e-shab ka kya qissa hua

    lashkar-e-shab subh ki sarhad pe kyun paspa hua

    ek ajab si pyas maujon mein sada deti hui

    main samundar apni hi dahliz par bikhra hua

    kachchi diwaren sada-noshi mein kitni taq thin

    pattharon mein chiKH kar dekha to andaza hua

    kya sadaon ko salib-e-KHamushi de di gai

    ya junun ke KHwab ki tabir sannaTa hua

    rafta rafta mausamon ke rang yun bikhre ki bas

    hai mere andar koi zinda magar TuTa hua

    sabz hathon ki lakiren zard mathe ki shikan

    aur kya deta meri taqdir ka likkha hua

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    jang mein parwar-digar-e-shab ka kya qissa hua Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now