Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jiwan hai pal pal ki uljhan kis kis pal ki baat karen

Vilas Pandit Musafir

jiwan hai pal pal ki uljhan kis kis pal ki baat karen

Vilas Pandit Musafir

jīvan hai pal pal uljhan kis kis pal baat kareñ

in lamhoñ ko bhuul ke ham tum giit ġhazal baat kareñ

roz piinā roz pilānā roz ġhamoñ se Takrānā

ik din mai ko bhuul ke aao gañgā-jal baat kareñ

sau barsoñ ke is jiine se hāsil kyā ho pā.egā

jis ne dil ko ḳhushiyāñ hoñ us ik pal baat kareñ

kyā paayā hai bhiiḌ meñ kho kar kyā paaya tanhā.ī meñ

aao yaaro in rasmoñ ke pher-badal baat kareñ

aaj vafā raah 'musāfir' dhundlī dhundlī lagtī hai

kohra jis ne barsāyā hai us bādal baat kareñ

jiwan hai pal pal ki uljhan kis kis pal ki baat karen

in lamhon ko bhul ke hum tum git ghazal ki baat karen

roz hi pina roz pilana roz ghamon se Takrana

ek din mai ko bhul ke aao ganga-jal ki baat karen

sau barson ke is jine se hasil kya ho paega

jis ne dil ko KHushiyan di hon us ek pal ki baat karen

kya paya hai bhiD mein kho kar kya paya tanhai mein

aao yaro in rasmon ke pher-badal ki baat karen

aaj wafa ki rah 'musafir' dhundli dhundli lagti hai

kohra jis ne barsaya hai us baadal ki baat karen

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now