aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jis ne kiye hain phul nichhawar kabhi kabhi

Aale Ahmad Suroor

jis ne kiye hain phul nichhawar kabhi kabhi

Aale Ahmad Suroor

MORE BYAale Ahmad Suroor

    jis ne kiye haiñ phuul nichhāvar kabhī kabhī

    aa.e haiñ us samt se patthar kabhī kabhī

    ham jis ke ho ga.e vo hamārā na ho sakā

    yuuñ bhī huā hisāb barābar kabhī kabhī

    yaañ tishna-kāmiyāñ to muqaddar haiñ ziist meñ

    miltī hai hausle ke barābar kabhī kabhī

    aatī hai dhaar un ke karam se shu.ūr meñ

    dushman mile haiñ dost se behtar kabhī kabhī

    manzil justujū meñ jise chhoḌ aa.e the

    aatā hai yaad kyuuñ vahī manzar kabhī kabhī

    maanā ye zindagī hai fareboñ silsila

    dekho kisī fareb ke jauhar kabhī kabhī

    yuuñ to nashāt-e-kār sarshāriyāñ milīñ

    anjām-e-kār bhī rahā Dar kabhī kabhī

    dil jo baat thī vo rahī dil meñ ai 'surūr'

    khole haiñ garche shauq ke daftar kabhī kabhī

    jis ne kiye hain phul nichhawar kabhi kabhi

    aae hain us ki samt se patthar kabhi kabhi

    hum jis ke ho gae wo hamara na ho saka

    yun bhi hua hisab barabar kabhi kabhi

    yan tishna-kaamiyan to muqaddar hain zist mein

    milti hai hausle ke barabar kabhi kabhi

    aati hai dhaar un ke karam se shuur mein

    dushman mile hain dost se behtar kabhi kabhi

    manzil ki justuju mein jise chhoD aae the

    aata hai yaad kyun wahi manzar kabhi kabhi

    mana ye zindagi hai farebon ka silsila

    dekho kisi fareb ke jauhar kabhi kabhi

    yun to nashat-e-kar ki sarshaariyan milin

    anjam-e-kar ka bhi raha Dar kabhi kabhi

    dil ki jo baat thi wo rahi dil mein ai 'surur'

    khole hain garche shauq ke daftar kabhi kabhi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now