Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

juda karenge na hum dil se hasrat-e-dil ko

Wahshat Raza Ali Kalkatvi

juda karenge na hum dil se hasrat-e-dil ko

Wahshat Raza Ali Kalkatvi

judā kareñge na ham dil se hasrat-e-dil ko

aziiz kyuuñ na rakheñ zindagī ke hāsil ko

nihāñ agarche hai mahfil se soz-e-dil merā

magar ye raaz hai ma.alūm sham-e-mahfil ko

vo tuul khīñchā balā tire taġhāful ne

ki sabr aa gayā mere muztarib dil ko

kaThin hai kaam to himmat se kaam le ai dil

bigāḌ kaam na mushkil samajh ke mushkil ko

vo kaam merā nahīñ jis nek ho anjām

vo raah merī nahīñ jo ga.ī ho manzil ko

ḳhabar huī na unheñ mere muztarib dil

ġhalat ḳhayāl hai ye dil se raah hai dil ko

balā hotī hai 'vahshat' bhī ġhazal-ḳhvānī

ki ik surūr hotā hai ahl-e-mahfil ko

juda karenge na hum dil se hasrat-e-dil ko

aziz kyun na rakhen zindagi ke hasil ko

nihan agarche hai mahfil se soz-e-dil mera

magar ye raaz hai malum sham-e-mahfil ko

wo tul khincha bala ka tere taghaful ne

ki sabr aa hi gaya mere muztarib dil ko

kaThin hai kaam to himmat se kaam le ai dil

bigaD kaam na mushkil samajh ke mushkil ko

wo kaam mera nahin jis ka nek ho anjam

wo rah meri nahin jo gai ho manzil ko

KHabar hui na unhen mere muztarib dil ki

ghalat KHayal hai ye dil se rah hai dil ko

bala ki hoti hai 'wahshat' ki bhi ghazal-KHwani

ki ek surur sa hota hai ahl-e-mahfil ko

Source :
  • Book : Karwaan-e-Ghazal (Pg. 65)
  • Author : Farooq Argali
  • Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd (2004)
  • Edition : 2004
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now