kasa-leson ne jo thi nazr utari teri
kāsa-lesoñ ne jo thī nazr utārī terī
vahī le Duubī tujhe hasht-hazārī terī
pūchhā jā.egā daur-e-humāyūnī kā
rū-ba-kār aaj hai sarkār se jaarī terī
us kā dīdār hama-vaqt ibādat merī
aañkh ne dil pe jo tasvīr utārī terī
ham ne har samt bichhā rakkhī haiñ āñkheñ apnī
jaane kis samt se aa jaa.e savārī terī
tark-e-ulfat kā irāda hai musammam us kā
kaam aa.ī hī nahīñ minnat-o-zārī terī
zarb-e-paiham kā tasalsul na abhī toḌ 'sadīd'
ik na.ī zarb bhī ho saktī hai kaarī terī
kasa-leson ne jo thi nazr utari teri
wahi le Dubi tujhe hasht-hazari teri
puchha jaega daur-e-humayuni ka
ru-ba-kar aaj hai sarkar se jari teri
us ka didar hama-waqt ibaadat meri
aankh ne dil pe jo taswir utari teri
hum ne har samt bichha rakkhi hain aankhen apni
jaane kis samt se aa jae sawari teri
tark-e-ulfat ka irada hai musammam us ka
kaam aai hi nahin minnat-o-zari teri
zarb-e-paiham ka tasalsul na abhi toD 'sadid'
ek nai zarb bhi ho sakti hai kari teri
- Book : Prinda Safar men (Pg. 23)
- Author : Anwar Sadeed
- Publication : Maqbool Academy, Lahore (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.