kash tum samajh saktin zindagi mein shaer ki aise din bhi aate hain
kash tum samajh saktin zindagi mein shaer ki aise din bhi aate hain
Salam Machhli shahri
MORE BYSalam Machhli shahri
kaash tum samajh saktīñ zindagī meñ shā.er kī aise din bhī aate haiñ
jab usī ke parvarda chāñd us pe hañste haiñ phuul muskurāte haiñ
ab to mere shah-pāre jo tum hī se the mansūb yuuñ jhalak dikhāte haiñ
duur ek mandir meñ kuchh diye murādoñ ke jaise jhilmilāte haiñ
tum ne kab ye samjhā thā maiñ ne kab ye sochā thā zindagī kī rāhoñ meñ
chalte chalte do raahī ek moḌ par aa kar ḳhud hī chhūT jaate haiñ
kaam husn-kāroñ kā āñsuoñ kī zau de kar kuchh kañval khilā denā
maut husn-kāroñ kī jab vo ḳhud shab-e-ġham meñ ye diye bujhāte haiñ
tez-tar havā.eñ haiñ maut kī fazā.eñ haiñ raat sard o jāmid hai
ahmarīñ sitāre bhī vāqa.ī divāne haiñ ab bhī muskurāte haiñ
alvidā ai merī shāhkār nazmoñ kī zar-nigār shahzādī
māvarā-e-ulfat bhī kuchh na.e taqāze haiñ jo mujhe bulāte haiñ
kash tum samajh saktin zindagi mein shaer ki aise din bhi aate hain
jab usi ke parwarda chand us pe hanste hain phul muskuraate hain
ab to mere shah-pare jo tum hi se the mansub yun jhalak dikhate hain
dur ek mandir mein kuchh diye muradon ke jaise jhilmilate hain
tum ne kab ye samjha tha main ne kab ye socha tha zindagi ki rahon mein
chalte chalte do rahi ek moD par aa kar KHud hi chhuT jate hain
kaam husn-karon ka aansuon ki zau de kar kuchh kanwal khila dena
maut husn-karon ki jab wo KHud shab-e-gham mein ye diye bujhate hain
tez-tar hawaen hain maut ki fazaen hain raat sard o jamid hai
ahmarin sitare bhi waqai diwane hain ab bhi muskuraate hain
alwida ai meri shahkar nazmon ki zar-nigar shahzadi
mawara-e-ulfat bhi kuchh nae taqaze hain jo mujhe bulate hain
- Book : Intekhab-e-Kalam Salam Machhli Shahri (Pg. 126)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.